Rah rah gali gali mazar sa khilla,
Logo ke dukaane hai saji, bazaar hai laga...
Nikla jo ghar sae mai, logo ke bheed sae ghira,
Sochae bhi samaj na paya, ye majara hai kya...
Kahee lagae hai rang be rangi kapdo kae dhaer,
Kahee biktae hai hazaro nasallo kae reejhanae waale juttae..
Khee hai dukane jeevan kae saaman - davaeyo sae bhari,
To kahe hai rasooeya lazatdar pakwanno sae ladi..
Karoodo kae makaano sae niklae, lakho ke caroo mae sawaar ghrahak hai yaha,
Phataehaal, hafftoo sae bhar-paet kaha na khaye abhaage bhi hai yaha...
Kuch ghantoo ka annad laenae kae lakho hai yaha saadan,
Aapki jaebo ka bhar kam karnae kae liyae hazaaro khaede hai taeyaar...
Ghar ko sajana ho, Bevi ko manana ho,
Kessi ko rijhana ho ya khud paar he lutana ho...
Kuch ghanto ke movie dhaekhna ho, ya kuch ghanto discs mae khojana ho,
Bazaar hai laga saare cheezo sae bhara, bas currency taeyaar tum rakhna...
Biknae ko sara jahan hai khada,
Biktae hue shayad aaj essann bhi milla...
Subha ke kirno kae pahale he nikal padtae hai saare,
Har din ke shuruvat mae vo eshwar ko hai pukartae...
Mangtae vo khuda sae na shaati, na mangtae hai vo sukuun,
Umeed hai to bas unhae ek he, achhe bikkri kae ek din ke...
Rab bhi shayad sochta hoga ke baetae nae ussae yaad to kia,
Par yaad kar bhi manga vohe jo ensan nae khud he hai rachha...
Rupayo ka aesa jal hai bunna, jittna bhi chahe phir bhi vo na sulja,
Bhag-daud mae usnae paisso ko he kyu bana diya apna jahan...
Haiseyat jo raktha tha jeevan kae ek hissae se, purra jeevan kab bann gaya vo rupaya,
Kushi kae pitare ke chabi na tha, par ab uss pittare ka kisse nae shayad talla he badal diya...
Yaatri jo bankar aaye ensaan es duniya mae, vo nivasi khudko kyu mannae lagae,
Khudaa ko apnee he tarah cheezo ka dunkandar kyu samjnae lagae...
Unn saare ensano kae bech ek mai bhi tha khada,
Sochkar bhi na samja kyu mai bhi hu aaj in sab ka ek hissa...
Rah rah gali gali mazar sa khilla,
Logo ke dukaane hai saji, bazaar hai laga...